This site is only for information

Thursday 3 July 2014

How to report or block any content (post) on Facebook


Note: This blog post is written in "Roman Urdu", but if you unable to understand Roman Urdu so you can view pictures which is added by admin in this blog and i think you can understand how to report or block any content (post) on Facebook thanks (Nov,2014).

Assalam o alaikum
Dear Friends


Facebook to har koi use karta hai mager facebook per kissi ki post ko block karny ya report karnay kay baray mian bohat he kam loog janty hain. Halankay yeh koi mushkil kam nahe hai balkay bohat asaan kam hai. Hota kuch youn hai kay facebook use karty karty achanak ap kay samnay koi aisy post ya content samnay ajatay hain jin ko ap like nahe karty jaisa kay koi islam kay baray main gustakhi kar day ya Muhammad (S.A.W) kay baray main ya kissi Islamic personality kay baray main to ap ko chahye kay ap us post ko foran block karwain or apnay dostoon ko bhe batain kay wo apki help karain us post ko block karwanay main. Or ager hamari help chahye ho to is post kay nechay comment main us id ka ya page ka link comment kar dain agay ham khud bhe usko daikh lain gay. Acha ab main apko report karnay ak tareeqa samjhata hoon.


1: Firstly, ap nay karna yeh hai kay jo post apko pasand nahe us post per jain or us post kay bilkul (right) dain taraf aik arrow ka neshan hoga jo nechay ki taraf hoga us per click kar dain or pher 2 options ayen gay jaisa kay picture main dikhaya gaya hai.



ap un options main say (I don’t like this post) ko choose kar lain.


2: Pher us kay bad aik or window open ho jaye ge. Us window main 4 options hongay jaisy kay picture main dikhaya gaya hai.


Ap 2nd option (I think it shouldn’t be on Facebook) ko choose kar lain or continue per click kar dain.


3: Jaisy he ap continue per click karain gay aik or window open ho jaye ge jis main us post ki picture kay sath sath 6 options a rahay hon gay jaisa kay picture main dikhaya gaya hai.


Main nay 3rd option choose kiya Q kay is post main islam kay baray main bakwas ki gaye hai or islam kay kuch rules ko beggar kay paish kiya ja raha hai or logoon ko ghalat rasty per lagaya ja raha hai, or us kay bad continue per click kar dain.

(i). It's rude, vulgar or uses bad language : ager koi gali day bad language use karay ya rudy ho to ap first wala option choose kar sakty hain,

(ii). It's Sexually explicit : Ager koi ghalat sexually bat karay to ap second wala option choose kar saktay hain.

(iii). It's Harassment or hat speech: 3rd option ka to apko pata chal he gaya hai.

(iv). It's threatening, violent or suicidal: Ager koi apko daray dhamkaye ya koi aisy post jo logoon ko suicide ki taraf lay kay jati ho to ap 4th option ka intekhab karain.

(v). I think It's an unauthorized use of my intellectual property Examples: copyright, Trademark:: ager kissi nay copy rights ki khilaf warzi ki hai to ap 5th option choose kar sakty hain.

(vi). Others: Or ager is kay ilawa koi or masla ho to ap others option ko choose kar sakty hain.

4. main nay 3rd option per click kiya tha Q kay jis post kay khilaf main report kar raha hoon wo islam kay khilaf ki gaye the or bay bunyad batain ki gaye the isliye jab main nay 3rd option per click kar kay continue kiya to yeh window open hue jaisa kay picture main dikhaya gaya hai.


Q kay hamary religion ko nishana banaya gaya tha isliye main nay 2nd option (A religious group) per click kar diya. Or pher continue kar diya

5. pher us kay bad aik or window open hue jaisa kay picture main dikhaya gaya hai.
Us kay bad main nay red line kay oper walay link per click kar diya youn main nay apni report submit karwa di.


Ager ap us say nechay walay option (Block) per click karain gay to ID ya koi page ho ap us ka koi bhe data daikh nahe pain gay.

Thanks


welcome

Total Pageviews

Follow Us

Categories

Popular Posts

Copyrights Reserved @2015. Powered by Blogger.

Followers

Flag counter

Flag Counter

Blog

Pages

This site is only for information

About Me