This site is only for information

Wednesday 19 November 2014

Apple Nutrition Fact



Nutrition Facts

Serving size 110g
Amount per serving

Calories 53                           Calories from Fat 1
                                                 % Daily value

Total Fat 0g                                   0%
Saturated Fat 0g                          0%
Trans Fat
Cholesterol 0 mg                          0%
Sodium 0mg                                  0%
Total Carbohydrate 14g               5%
Dietary Fiber 1g                            6%
Sugars 11g
Protein 0 g

Vitamin A              1%
Vitamin C              7%
Calcium                 1%
Iron                         0%

(Percent daily values are based on a 2,000 calories diet. Your daily values may be higher or lower depending on your calories needs.)



What is Good???
This food is very low in saturated fat. Cholesterol and sodium. It is also a good source of Dietary Fiber and Vitamin C.

What is Bad ????
A large position of the calories in the food comes from sugars.



Wednesday 12 November 2014

December Poetry



December Poetry:

December is a last month of year and known to be cold and lonely month. December poetry has really special mark on lover’s heart. It holds a special place in the hearts of literature lovers. Cold and lonely evening (udaas Shaam) and nights of December really appeal shayri lover’s. December poetry and December Shayri is all about Weather (Mousam) and remembrance of someone special. December Shayari? Or winter poetry in urdu is all about lonely nights. This year in December we bring you a very special and romantic collection of December Nazam Poetry and December two line poetry.

(Note: This blog is written in Roman Urdu & you can add your December Shayari here to publish on this page.)




December Poetry (December Shayri)
1: Halki halki si sard hawaa.

Halki halki si Sard hawaa, Zara Sa Dard-e-Dil,
Andaaz Acha hai “December” teray aanay ka.



December Poetry (December Shayri)
2:  December Main.

Kaha tha ye December main,
Hamain tum Milnay aao gay,
“December” kitnay Guzray hain,
Tumhari Raahon ko taktay,
Najanay kis December main,
Tumhain milne ko aana hai,

“December” pher say aya hai,
Jo tum ab bhe na aaye to,
Pher tum dekhna khud he,
Tumhari yaad main ab kay,
Akaily hum na royen gay,
Hamara Saath dene ko,
Sawan ke bharay baadal,
Galay mil mil kay royen gay,
Pher itna paani barsay ga,
Samandar seh na paaye ga,



December Poetry (December Shayri)
3: Tu he pehlu main nahe warna.

Tu he pehlu main nahe warna “December” main wahein,
Dhoop main baith kay akhbaar perha karty hain



December Poetry (December Shayri)
4: Uth jao

Uth jao furston main soye huay logooon…….!!!
Dekho “December” ki pehli subha kitni haseen hai



December Poetry (December Shayri)
5: December ki pehli shaam

December ki yeh pehli shaam hi kitni zaalim hai,
Aghaaz-e-shaam hi say yaadon kay baadal chaa gaye …..



December Poetry (December Shayri)
6: Pher iss sard mousam main

Pher iss sard mousam main, zara na chain say soyen gay,
December pher say aaya hai, pher say mil kay royen gay



December Poetry (December Shayri)
7: Chand bhe tanha

Chand bhe tanha, raat bhe tanha, aur tanha meri zaat hai,
Pher toot kay wo yaad aaya ajeeb December ki yeh raat hai



December Poetry (December Shayri)
8: Bohat barasta

Bohat barasta tha na yeh December bhe
Lagta hai ab isey bhe pyaar ho gaya



December Poetry (December Shayri)
9: Woh kab bichhra

Woh kab bichhra nahe ab yaad lekin
Bus itna yaad hai kay tha December ….



December Poetry (December Shayri)
10: Karo na zid chale aao

Karo na zid chale aao,
Rakha hai kiya December main
Dilon main pyar ho to pher
Maheenay saaray achay hain
Kissi bhe pyaray mausam main
Chupkay say chale aao
Sajan ab maan bhe jao
December to December hai
December ka bharosa kiya
December beet he jayega



December Poetry (December Shayri)
11: December main

December main kaha than a kay wapis laut aao gay
Abhe tak tum nahe lautay December laut aaya hai ….



December Poetry (December Shayri)
12: Teri yaad or baraf bari

Teri yaad or baraf bari ka mousam sulagta raha dil kay andar akailay,
Socha tha g loun ga tojh say bichar kar, Guzarta nahe aik December akaily,



December Poetry (December Shayri)
13: Teri yadoon ki rawani

Teri Yadoon ki rawani or yeh December
Meri batain teri kahani or yeh December



December Poetry (December Shayri)
14: yeh December

Mera hath teray sath, lambi sarak or yeh December
Gum sum shamain, sunehri ratain or yeh December
Bheegay din, Madham suraj, halkay badal or yeh December
Behti nadiyaan, gaaty panchi, urhti dhund or yeh December
Cofee, bistar, teri Mohabbat or yeh December
Tanha main, tanha chand, mera kamra or yeh December
Meri aankhain, meri neendh, teray khwab or yeh December



December Poetry (December Shayri)
15: Pehli subha December ki

Teri Yaad, tanhai, khamoshi, aur behtay aansu,
Pehli subha December ki kiya kiya tohfay lai hain



December Poetry (December Shayri)
16: Kabhi jo toot ke barsa

Kabhi jo toot ke barsa December,
Laga apna, bohat apna December,
Guzar jata hai sara saal youn to,
Nahi kat’ta magar tanha December
Bhala barish say kiya sairaab hoga
Tumhari Muhabbat ka piyasa December
Woh kab bichra? Nahi ab yaad lekin
Bus itna yaad hai kay tha December
Jama poonji yehe hai umar bhar ki
Meri tanhai aur mera December



December Poetry (December Shayri)
17: Teri yaadain

Teri yaadain December ki shabo’n jaisy
Jo aati hain to janaa bhool jaati hain



December Poetry (December Shayri)
18: December maar dalega

Yeh Shaam yeh sard hawa or yeh hijar ka aalam
Gumaan hota hai is baar December maar dalega.



December Poetry (December Shayri)
19: Ab to barishoon

Ab to barishoon main bhe us ko meri yaad nahe aati
Woh jo badal kay garajnay se lipat jata tha mujhse



December Poetry (December Shayri)
20: Yaad dilaata hai

Yaad dilaata hai sard mausam
Kissi kay lehjay ka sard hona



December Poetry (December Shayri)
21: Hamari to December ne

Hamari to December ne
Bohat umeedain tori hain
Baray sapne bakhere hain
Hamari raah takti muntazir
Purnaum nigahon main
Sawan ke jo deray hain
December kay he tohfay hain



December Poetry (December Shayri)
22: Garam martoob mausam

Garam Martoob mausam main December dhoondtay rehnay
Tabiyat theek hai teri ya pher say ishq taari hai



December Poetry (December Shayri)
23: Yaadon ki shaal oarh kay

Yaadon ki shaal oarh kay awaara gardiyaan
Kaati hain youn bhe hum nay December ki sardiyaan



December Poetry (December Shayri)
24: Raat uss nay poocha tha

Raat uss nay poocha tha
Tum ko kaisy lagti hai
Chandni December ki
Main ne kehna chaha tha
Saal-o-maah ke baarey main
Guftagu ke kiya maani?
Chahey koi manzir ho
Dasht ho, Samandar ho
June ho, December ho
Dharkanoo’n ka har naghma
Manzoroo’n pe bhaari hai
Saath jab tumharay ho
Dil ko aik sahara ho
Aisa lagta hai, jaisy
Aik nasha sa taari hai
Lakin uss ki qurbat main
Kuch nahe kaha main nay
Takti reh gaye mujh ko



December Poetry (December Shayri)
25: December ki tharthrati hue shamain

Suno!
December ki tharthrati hui shamain
Kohar main lipti dhundaali si subhain
Darakhtoon say girtay hue
Khushk zerd patay
Wo gaaon ki tamaam rastay
Mohabbatoon ki tamaam rishtay
Khayaal abad kertay hain
Tumhein sub yaad kartay hain



December Poetry (December Shayri)
26: Thirhharti hue Shab-e-seyah

Thithharti hue shab-e-seyah, aur wo bhe taweel-tar
Mohsin, yeh hijar kay maroon per qayamat hai December



December Poetry (December Shayri)
27: Zara si dair

Zara si dair December ki dhoop main bethan
Yeh furstain hamain shayed na aglaye saal milain.



December Poetry (December Shayri)
28: Koi jazba adhoora

Koi jazba adhoora reh gaya hai
December aansu’on main beh gaya hai
Yeh dil khamoosh ho kar reh gaya hai
Najaane aaj who kiya keh gaya hai
Yeh aankhain hain hamari kitni gehri
Samandar main samandar beh gaya hai
Tumharay sath wabasta tha sab kuch
Siwaye yaad ke kiya reh gaya hai
Palat kar daikhne per hum nay jana
Dil-e-naddan kiya kiya seh gaya hai,
Bohat bheer hai bazaroon main lekin
Tera Shami akaila reh gaya hai



December Poetry (December Shayri)
29:  muyassar nahe hoon main

I soeht-e-dosti main koi mujh se kiya milay
Khud apne aap ko bhe muyassar nahe hoon main



December Poetry (December Shayri)
30: Kitni sardi hay pass

Kitni sardi hay pass kuch bhe nahe
Aao aik dosray ko aourh lain ham



December Poetry (December Shayri)
31: December agaya jaana

December agaya jaana,
Ke pher aik saal,
Teri yaad kay samandar main
Utar kar jane wala hai
Yeh dil pher ronay wala hai
Tumhain kuch yaad hai jaana
Isi pechle December main
Tumhe nay mujh ko likha tha
Kay naya jo saal aye ga
Us main mil kay rehna hai
Bohat se pyar ki yaadain
Bohat si ankahi batain
Humain tehreer karni hain
Mohabbat ki naye nazmain
Humain is baar likhni hain
Magar janaa
Wohe ratain
Wohe shamain
Wohe khushbu
Wohe nazmain
Mujhe har waqat kehti hain
December laout aya hai
Mager tera sathi nahe aya
December ageya janaa
December agaya janaa



December Poetry (December Shayri)
32: Teri khushbo ka taqub

Teri khushbo ka taqub karo mousam mousam
Tu meray hath main aye tu hawa ho jaon



December Poetry (December Shayri)
33: Kiya har baat per

Kiya har baat per koste hain log December ko???
Kiya December ne kaha tha Mohabbat karo !!!!



December Poetry (December Shayri)
34: Manoos Ajnabi

Manoos Ajnabi
Ab kay December main
Main nay bhe kuch khwab sajaye hain
Apni sard aankho’n main
Per darr lagta hai
Kahi yeh meray khwab
Pighal na jain
Dhoop pernay per !!!!



December Poetry (December Shayri)
35: December ki thatharti

December ki thatharti aik shab who meray paas aye
Mujhe kehnay lagi keh!
Aaj sab kuch chor aye hoon
Tumharay pyar main saary he rishtay tor aye hoon
Mujhay kehnay lagi keh

Utho !!!!!!!!!
Yahan se door chaltay hain
Bohat he door chaltay hain
Tumharay bin kissi soorat mujhe zinda nahe rehna
Mujhe zinda nahe rehna, mujhe zinda nahe rehna
Woh zaar-o-zaar ro di, aur pher mujh main simat aaye
Woh apnay aanso’on se bas yehe faryaad karti the

Chalo jaldi karo
Iss sehar se ham bhaag chaltay hain
Bohat he door chaltay hain
Uss aik saaans main main nay baar ha socha
Keh uskay hukam par
Uskay kahay per sar jhukar doon
Yeh socha baar ha,
Usko bhaga kar door lay jaaon
Woh  aik tooit hui larki
Woh meray piyaar mian mehki hue
Masoom si larki
Meray seenay say lag kar dair tak roti rahe

Uss Shab
Wohi iss ehsaas main gum the
Keh manzil mil gaye usko
Meray khamoosh chehray ki taraf woh daikhti bas daikhti jaati
Uss aik ssa’at meray andar kayee tofaan barpa thay
Najanay kiss tarha main nay
Kaha us say
Kay bas ab laut jao
Laut jana pher nahe aana
“khudara pher nahe ana”
meri yeh baat sun kar
uss nay aik be yaqeeni say mujhay daikha
woh larki shidat-e-gham se tarap uthe
sulag uthe
sakoot-e-marg kay aalam main
woh dawazay ki janab aikdam lapki
woh larki pher nahe aaye
woh aik bikhari hue larki
kabhe waapis nahe aye

bohat din baad kal daikha
ussay aik ajnabi kay sath gari main
aur uski goud mian payara sa aik bacha tha
woh larki kis qadar khush the
bohat chaha tha kay main uss ko bhaga kar door lay jaoon
bohat chaha December ki thatharti raat laut aaye…


December Going !



December Poetry (December Shayri)
36: Khizaan kay zard patoon

Khizaan kay zard patoon ka wo manzar yaad karta hai
Usay kehna usya December bohat yaad karta hai



December Poetry (December Shayri)
37: December ab kay jaao

December ab kay jaao to mujhe bhe saath lay jana
Mujhe bhe shaam hona hai, mujhe gumnaam hona hai



December Poetry (December Shayri)
38: Thandi hawayen chal pari

Thandi hawayen chal pari hamaray veeranay main
Andaza bar zaalim hai December teray jaane ka



December Poetry (December Shayri)
39: Aik baar to milnay chalay aao

Aik baar to milnay chalay aao December janay wala hai
Kaisa guzra hai yeh sal batao December janay wala hai
Khush ho jao kay milnay ka saal aa raha hai pher
Wasi youn na ansu bahao December janay wala hai
Shayed ab kay baras bhe wo lout kar na aye
Tanha youn abhe chor kay na jao December janay wala hai
Yeh kiya k raat din uski yaad main doobay rehna
Na gham ki bearish main nahao December janay wala hai
Ay meray dukhoon kay sathiyon khush ho jao
Apnay apnay gharoon ko sajao December janay wala hai
Kiya pata pher December aye na aye Jan-e-wasi
Meri mano ab tum lout ao December janay wala hai



December Poetry (December Shayri)
40: Guzarta hua saal

Guzarta hua saal jaisy bhe guzraa
Magar saal kay akhri din nihayaat kathin hain

Suno!!!
Naye saal ki muskuraati hue subha
Yeh bujhta hua dil dharakata to hai
Muskuraata nahe

December mujhe raas ata nahe



December Poetry (December Shayri)
41: Yeh saal bhe udaas raha

Yeh saal bhe udaas raha rooth ker gaya
Tujhe dekhe beghair jaana December Guzar gaya



December Poetry (December Shayri)
42: Mujhe ab farq nahe parta

Mujhe ab farq nahe parta, December kay beet janay ka
Udaasi meri fitrat hai, isey mausam se kiya matlab



December Poetry (December Shayri)
43: Tees din

Tees din issi dewar per latkay ga yeh Aks
Khatam aik din main December nahe honay wala



December Poetry (December Shayri)
44: Aye December

Aye December kuch to hosh kar, yeh tujhe kiya hua
Bin barsay guzar jana teri adapt pehlay to na the ……




(Note: This blog is written in Roman Urdu & you can add your December Shayari here to publish on this page.)

welcome

Total Pageviews

Follow Us

Categories

Popular Posts

Copyrights Reserved @2015. Powered by Blogger.

Followers

Flag counter

Flag Counter

Blog

Pages

This site is only for information

About Me